Mulakaat

 
A Poetry By Palak Maheshwari..



Aao zara baitho kuch baat karte hai 
Aaj dono milkar ek dusare se fariyaad krte hai... 

Yun toh waqt milta nahi kisi ko kisi k liye 
Aaj do ghadi mulakat krte hai 
Iss safar me hum najaane kab alag hue 
Chalo dono milkar yeh yaad krte hai 
Aao zara baitho kuch baat krte hai... 

Apne Yaro se waqt nikaal kar laya hoon main
Tum bhi aaj jaldi sawar kar ajao na 
Ab intezaar nahi hota tumse milne kaa
Gali ke uss nukkad par phir kulladh ki chai pite hai 
Aao zara baitho kuch baat krte hai... 

Itne samay baad milne ki jitni khushi muje hai 
Tumhe bhi ghabrahat kam na hogi 
Yeh vo daur tha, jo kyu tha
Kuch zara iss par gaur karte hai
Aao zara baitho kuch baat karte hai...
 
Me vahi nili kamiiz pehen kar aaya hoon 
Tum bhi khuli zulfon ke sath ajao na 
Guzare hue waqt ke gham ko aadha krte hai 
Milne ki iss aas ko hum dono pura krte hai 
Aao zara baitho kuch baat krte hai...
 
Tamaam koshishien jo adoori reh gyi thi 
Iss mulakaat se adaa krte hai 
Juda hue do jism ko 
Nazdikiyon se ek jaan karte hai 
Aao zara baitho kuch baat krte hai
Aaj dono milkar ek dusare se fariyaad krte hai...


To read my Popular Blogs click on the links Below

Ever Underrated ? 

A way to dream..

The Midstream

You should not always date your feelings

STAY TUNED !!



Comments

Shreya said…
Outstanding poetry ❤

Popular posts from this blog

Main Paak Hui

Restrictions

Undefined Love